Naag Teela Mathura Ka Prachin Dharmik Place
यहाँ की मिटटी में आज भी प्राचीन काल में ऋषि मुनियो द्वारा किये हुए यज्ञ की राख निकलती है Naag Teela Mathura Ka Prachin Dharmik Place Mathura mein ek aisa tila jahan ek nhi do nhi teen nhi anginat naagon ka basera hai.Jahan ki mitti khodne par mitti ke sath hazaron varsh purv kiye gye rishi muniyon dwara yagya ki rakh niklke aati hai,jisse shradhalu mathe se laga kr apne ghar le jaate hai.veh prachin sthan jahan par raja parikshit ke putra dwara samast naag jaatiyon ka vinash krne ke liye yagya kiya gaya.Sabhi ko radhe radhe aaj hum aapko lekar aaye hai ek divya aur bahut hi prachin sthan pe jisko ki naag tile ke naam se jaana jaata hai,aur yeh sthan hai mathura ke bangali ghat par subhash school hai ussi ke theek samne yeh sthaan hai.toh aaiye hum jaante hai ki yeh ki kya vishesta hai aur isko naag tile ke naam se kyo jaana jaata hai toh iske liye hum chalte hai tile pe aaiye mere sath.Hum aur aap aaj puneh aaye hai darshon ki shrankhala mein mathura puri panch k...